यह ब्लॉग खोजें

गुरुवार, 12 अप्रैल 2007

Khushbuu hai vo

Khushbuu hai vo to chhuu ke badan ko guzar na jaaye

Khushbuu hai vo to chhuu ke badan ko guzar na jaaye
jab tak mere vajuud ke andar utar na jaaye

[vajuud = existence]

Khud phuul ne bhii honth kiye apane niim-vaa
chorii tamaam rang kii titalii ke sar na jaaye

[niim-vaa = half open; tamaam = whole/entire]
[titalii = butterfly]

is Khauf se vo saath nibhaane ke haq mein hai
khokar mujhe ye ladakii kahin dukh se mar na jaaye

[Khauf = fear]

palko.n ko us kii apane dupatte se ponch duun

kal ke safar mein aaj kii gard-e-safar na jaaye

[gard = dust]

main kis ke haath bhejuun use aaj kii duaa
qaasid havaa sitaaraa ko_ii us ke ghar na jaaye

कोई टिप्पणी नहीं: