यह ब्लॉग खोजें

रविवार, 22 अप्रैल 2007

Dard Ka sailaab


Iss Ajnabi Si Dunia Main Ik Akel Khawb Hoon
Sawaalo se Khafa, Chont sa Jawab Hoon
Jo Naa Samajh Sake Unke Liye Koun
Jo Samajh Chuke Unke Liye Kitaab Hoon
Dunia Ki Nazro Main Jane Kyo Chubha Sa
Sabse Nashila aur Badnaam Sharab Hoon
Sar uthaa kar Dekho Who Dekh Raha Hai Tumko
Jisko Na Dekha Usne Who Chamakta Aaftab Hoon
Aankho Se Dekhoge to Khush Mujhe Paaoge
Dil se Puchoge to Dard ka sailaab hoon

Koi Ye Kaise Bataaye

Koi Ye Kaise Bataaye Ke Wo Tanha Kyoon Hai
Wo Jo Apna Thaa Wahi Aur Kisi Ka Kyoon Hai
Yahi Duniya Hai To Phir Aisee Ye Duniya Kyoon Hai
Yahi Hota Hai To Aakhir Yahi Hota Kyoon Hai

Ik Zara Haath Badha Den To Pakad Le Daaman
Uske Seene Mein Sama Jaaye Hamari Dhadkan
Itni Kurbat Hai To Phir Faaslaa Itna Kyoon Hai

Dil-E-Barbaad Se Nikla Nahin Ab Tak Koi
IkLoote Ghar Pe Diya Karta Hai Dastak Koi
Aas Jo Toot Gayee Phir Se Bandhaata Kyoon Hai

Tum Asarrat Ka Kaho Ya Ise Gham Ka Rishta
Kehte Hain Pyaar Ka Rishta Hai Janam Ka Rishta Hai

Janam Ka Jo Ye Rishta To Badalta Kyoon Hai



गुरुवार, 12 अप्रैल 2007

Khushbuu hai vo

Khushbuu hai vo to chhuu ke badan ko guzar na jaaye

Khushbuu hai vo to chhuu ke badan ko guzar na jaaye
jab tak mere vajuud ke andar utar na jaaye

[vajuud = existence]

Khud phuul ne bhii honth kiye apane niim-vaa
chorii tamaam rang kii titalii ke sar na jaaye

[niim-vaa = half open; tamaam = whole/entire]
[titalii = butterfly]

is Khauf se vo saath nibhaane ke haq mein hai
khokar mujhe ye ladakii kahin dukh se mar na jaaye

[Khauf = fear]

palko.n ko us kii apane dupatte se ponch duun

kal ke safar mein aaj kii gard-e-safar na jaaye

[gard = dust]

main kis ke haath bhejuun use aaj kii duaa
qaasid havaa sitaaraa ko_ii us ke ghar na jaaye

SIRF EHSAS......

Naaz thaa Khud par magar aisaa na thaa
aa_iine me.n jab talak dekhaa na thaa
shahar kii maharuumiyaan mat puuchhiye
bhiid thii par ko_ii bhii apanaa na thaa
manzile.n aavaaz detii rah ga_iin
ham pahunch jaate magar rastaa na thaa
itanii dil_kash thii kahaan ye zindagii
ham ne jab tak aap ko dekhaa na thaa

Smile

There are very few people,
Who give a reason to smile,
May be it is for long,
or a little while
But one has to give out
A sweet and honest smile,
Just to make someone
Smile for a while.
My eyes are in habit of tears,
Still there are moments
When it does hear,
A pleasant smile from my heart
With eyes full of tears…
Tears are many
But there's no one to care,
Because a smile on the face
Makes it pretty, loving and dear.
By Your Friend (R)