यह ब्लॉग खोजें

शनिवार, 23 मई 2009

PathaR ki hai Duniya, jazbat nahi samajti,
Dil me kya hai Wo baat nai samjti,

Tanha to Chand b hai sitaro ke bich,
magar Chand ka Dard Bewafa Raat nahi samjhati

............ ......... ......... ......... ......

Hamari khushi ki baghwan se fariyad na karna,
bhula dena mujko kabhi tum yad na karna,

kiya barbad tune mujhe ye meri badnasibi thi,
iltaza hai kisi aur ko yun barbad na karna....

............ ......... ......... ......... ......

Kabhi ro k muskraye, kabi muskra k roe
Uski yaad jab b ayi, ushe bhula k roe,

Ek uska hi nam tha, jise hazar bar likha,
jitna likh k kush hue, usse jiyada mita k roe

............ ......... ......... ......... ......

Zindgi ek chahat ka silsila hai,
Koi kisi se mil jata hai to koi kisi se bichad jata hai,

Jise hum mangten hai apni dua mein,
Wo kisi ko bina mange mil jata hai.



Muskurane se bhi hota hai bayan ghame dil
Mujhe rone ki bhi adat ho yeh zaroori to nahi..


Kitabon Say Daleel Doon Ya Dil Ko Samney Rakhun
Woh Mujh Say Pooch Baithay Hain Mohabat Kis Ko Kehtay Hain


Gham agar aye kabhi to MUJHE KARIB samajhna.
HAZARO APNO mein MUJHE bhi thoda AZIZ samajhna.
De sakun MUSKAN tere ANSUON ke badle.
APNI ZINDAGI mein ITNA to sharik samajhna!


*kamzor hain woh jo chahte hain apne mohabbat ko bhulana,
Naaz kar apne mohabbat par, apne dil ko na rulana.


*bas ab dua hai ki kisi aur k saath aisa na ho
kabhi kisi ke liye kisi ka dil bekaraar na ho

*Muj Sa Jahan Main Koi Nadan Bhi Na Ho
Kar K Jo Ishq Kahta Hai Nuqsan Bhi Na Ho




कोई टिप्पणी नहीं: