यह ब्लॉग खोजें

शनिवार, 11 अक्टूबर 2008

Just after Marriage



abhi shadi ka pehla hi saal tha

khushi ke maare mera bura haal tha


khushiyan kuch yun umad rahi thi

ke sambhale nahin sambhal rahi thi


subah subah madam ka chai le kar aana

thoda sharmate hue hame neend se jagana

woh pyar bhara haath hamare baalon mein phirana

muskurate hue kehna ke darling chai pee loo

jaldi se ready ho jao, office ko bhi hai jana


Ghar wali bhagwan ka roop le kar aayi thi

dil aur dimagh per poori tarah chaayi thi

saans bhi lete the toh naam isi ka hota tha

ek pal bhi door jeena dushwar hota tha


5 years later


Subah subah madam ka chai le kar aana

table per rakh ke zor se chillaana

aaj office jaate hue munne ko school chodte jaana

ek baar phir wohi awaaz aayi


'kya baat hai nahin chodi abhi tak chaarpaayi'

agar munna late ho gaya toh dekh lena

munne ki teachers ko phir khud hee sambhal lena

najaane ghar wali kaisa roop le kar aayi thi


dil aur dimagh par kaali ghata jaise chaayi thi

saans bhi lete hain toh unhi ka khayaal hota hai

har samay zehan mey ek hee sawaal hota hai


kya kabhi woh din lout aayenge

kya kabhi hum ek bar phir kunware ban paayenge?


कोई टिप्पणी नहीं: