Mere ghar tak usse aane me barhi der lagi
yaar ko yaar bana-ne me barhi der lagi
uske raaste me bichaye kabhi apni aankein
Phir kahe jakar utthi un pe nashilee aankein
Dheep se dheep jalane me barhi der lagi
Uski tehreer pe ek umer guzari me ne
Bazi jeeti magar dil,zindagi haari me ne
Phool se phool ughaane me barhi der lagi
Jaagti aankh me raksaa rehte sapne uske
Me fakat gher tha baki sab apne uske
Haal-e-dil usko suna ne me barhi der lagi
Dekh lo usko to mit jaye nighaaun ki thakkan
Narm nazak hai ghulaabun ki tarha uska badan
Usko bahun me chupaane me barhi der lagi
Ek be-rehem udaasi meri taqdeer hoye
Ghum ki jalti hoye rut khawb ki tahbeer hoye
Yaar k zakhm mitaane me barhi der lagi
Uski khwaesh me mujhe aadhi saddi rona parha
Uska ban-ne k liye khawb mujhey bhuna parhaa
Rabta os se barhane me barhi der lagi
Mere ghar tak usse aane me barhi der lagi
yaar ko yaar bana-ne me barhi der lagi
Tum Mujhe bhool bhi jao tou yeh haq hai tumko
Meri baat aur hai meine tou muhabbat ki hai
शुक्रवार, 21 दिसंबर 2007
सदस्यता लें
टिप्पणियाँ भेजें (Atom)
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें