Aag hi kash lag gayi hoti
Do ghari ko tou roshni hoti
Log miltay na jo naqaaboon may
Koi soorat na ajnabi hoti
Pouchtay jis say apna naam, aeysi
Sheher may aik tou galli hoti
Baat koi kahan khushi ki thi
Dil ko kis baat ki khushi hoti
Mout jab tere ikhtiaar may hey
Mere qaboo may zindagi hoti
Mehak utthta nagar nagar
Dil ki khushboo agar urh'hi hoti
शुक्रवार, 21 दिसंबर 2007
प्रस्तुतकर्ता
akhileshraj
0
टिप्पणियाँ
Mere ghar tak usse aane me barhi der lagi
yaar ko yaar bana-ne me barhi der lagi
uske raaste me bichaye kabhi apni aankein
Phir kahe jakar utthi un pe nashilee aankein
Dheep se dheep jalane me barhi der lagi
Uski tehreer pe ek umer guzari me ne
Bazi jeeti magar dil,zindagi haari me ne
Phool se phool ughaane me barhi der lagi
Jaagti aankh me raksaa rehte sapne uske
Me fakat gher tha baki sab apne uske
Haal-e-dil usko suna ne me barhi der lagi
Dekh lo usko to mit jaye nighaaun ki thakkan
Narm nazak hai ghulaabun ki tarha uska badan
Usko bahun me chupaane me barhi der lagi
Ek be-rehem udaasi meri taqdeer hoye
Ghum ki jalti hoye rut khawb ki tahbeer hoye
Yaar k zakhm mitaane me barhi der lagi
Uski khwaesh me mujhe aadhi saddi rona parha
Uska ban-ne k liye khawb mujhey bhuna parhaa
Rabta os se barhane me barhi der lagi
Mere ghar tak usse aane me barhi der lagi
yaar ko yaar bana-ne me barhi der lagi
Tum Mujhe bhool bhi jao tou yeh haq hai tumko
Meri baat aur hai meine tou muhabbat ki hai
प्रस्तुतकर्ता
akhileshraj
0
टिप्पणियाँ
khwab
Apni Zindagi Kay Khobsorat Safer May
Palkon Kay Nechay Dill Kay Nagar May
Mujhe Hamesha Apnay Dill May Rakhna
Yaad Rakhna Mujhe Apni Her Yaad May
Her Soch May Apnay Her Khayal May
Har Khuwab May Apni Her Baat May
Mujhe Hamesha Apnay Dill May Rakhna
Yaadon May Rakhna,Apni Batoon May
May Rahon Ya Na Rahon .....
Mujhe Hamesha Apnay Dill May Rakhna
Tum Mujhe bhool bhi jao tou yeh haq hai tumko
Meri baat aur hai meine tou muhabbat ki hai
प्रस्तुतकर्ता
akhileshraj
0
टिप्पणियाँ
बुधवार, 19 दिसंबर 2007
dard bharaa nagmaa
dard ki manind mujhey dil main chhupa lenaa tum,
yeh zakham mere paas tere pyar ki nishaani hai,
jab kabhi tum tanha ho aur meri yaad satati ho,
mera kya hai ek roz jahan say rukh'sat ho jaungaa,
tere bina jinda laash hoon mujhey koi ehsaas nahi,
jo khushi sapney aur umeedain dee theen tum nay,
tere ghar kay deepak main jal raha hai meraa wajood,
mere paas kanto bharay gulaab ke sivaa kuch bhee nahi,
प्रस्तुतकर्ता
akhileshraj
0
टिप्पणियाँ